10 Benefits of Lemon water in the morning for better health

Dosto aaj hum Lemon water benifits ke bare main kuch khas baten jaan lete hain, aur ye ki lemon water kaise hamri zindagi main char chand laga sakta ha.

Dosto Lemon water ke andar jo properties hoti hain woh kuch is tarah se hain, Lemon water main iron, calicium, phosphorce, zink aur vitamim c kafi meqdar main majood hota ha, jo hamri helth ke liye bohut faida mand hain.

Lemon water ka use karne se hum bohut si bemariyo ka muqabala kar sakte hain, aur apne aap ko bemari hone se be bacha sakte hain.

Is ke ilawa Lemon water hamri skin health ma be kafi achi cheez mani jati ha.

Balon ko chamakdar aur khobsoorat bana ne ma be Lemon water ka jawab nahi ha.

Dosto Lemon water ek aisa frout ha jis main zakham ko theek karne ki be kasosiyat bohut zyada ha.

Ab hum Lemon water ke 10 Benefits Jan lete hain jin ko apna kar ap be faida utha sakte hain.

10 Benefits of Lemon water in the morning for better health, health tips by Rj
10 Benefits of Lemon water in the morning for better health


Here is the List of 10 Benefits of Lemon Water in the morning for your better health.


01. Lemon Water Benefits in weight Loss

Dosto jaisa ki ap jante hain aaj kal ki bhag dodh wali zindagi main hum apni sehat ka achi tarah se khayal nahi rakh pate hain jis ki wajah se kaie helth issue ho jate hain, jin main se ek wazan badna ya motapa aa jana ha.

Aaye hum Jan lete hain ki Lemon water ka use karke hum is motapa ko kaise Kam kar sakte hain.

Agar ap weight kam karna chahte hain to aaj se hi lemon water pena shuru kar den. Agar ap regular lemon water ka use karte hain to ye apke liye bohut acha ha is ka reason ye ha ki lemon water main aisay ajza majood hotay hain jis se hamara metabolisam theek hojata ha.

Agar aap weight kam karna chate hain  to metabolisam ka theek karna bohut zaroori ha. 

Use karne ka Tareeqa.

Gunguna pani lejiye aur us mai aadha lemon nichod lejye us main ap thoda sa hunny add karen aur thoda sa sendha namak add kren aur ek gilas pee lijye.

Is ke Kuch dair bad 1/2 leter garam pani len aur us garam pani ko aahista ahista pee len, bilkul  thoda thoda kar ke.

wait kam karne ka dosra tareeqa.

Ek lemon len, lemon ko katen (Juice nahi nikalna ha) kaatne ke baad pani main ubalen is tarah ki jaisay chaie ko ubalte hain bina joos nikale thoda sa darcheeni powder add karen jab 2, 3 ubal aa jayen to isay chaan leen aur chaie ki tarah pee jayen wazan kam karne ke liye bohut acha nuskha hai.

02. Lemon Water Benefits to improve your skin Health

bohut saray aisay face pack banye jate hain jis ma lemon water ka use kiya jata ha.

lemon water ka regular use karne se chehra ke saray daag dabbay door ho jate hain aur apka chehra chamkdar aur glowing ho jata ha. pimples ko be khatam karne main be lemon water ka use bohut hi mufeed hota ha. Aankhon ke neechay jo kalay dag pad jate hain un ko khatam kar ne main b lemon water ka use bohut acha ha.

03. Lemon Water Benefits to Improve Your Hair Health

lemon water ka balon main aisay hi istemal karen jaisay hum balon mai tail ka istemal karte hain aur jahan tak ho sakhay lemon water ko balon ke roots main laga kar hakle hathon se massage karen, Lemon water main ap hunny  add kar sakte hain, agar hunny available na ho to ap gilsereen ya aloeveera gel add kar sakta hain, agar ye cheezen available na hon to phir kisi bi oil ke sath mila kar istemaal kar sktay hain ye apke balon ke liye bohut faida mand hoga

04. Lemon Water Benefits: Provides instant energy in Diabetes

sugar ke mareezon ke liye lemon water bohut hi acha ha kyn ki lemon water apko instant energy deta ha apko fresh feel karata ha . Sugar ke mareez apne apko is bemari ki wahjah se kafi low feel karte hain jaisay energy hi nahi hoti ha to aisay main lemon water ka istemal kafi zyda acha ha.

Sugar ke marezon ka insuline uper neechay hota rehta ha, aisay main lemon water ka use karna insuline ki level ko theek karne main bohut help karta ha.

ek baat ka khas khayal rakhen ki cheeni istemal nahi karni ha , balki lemon water ko bagair cheni ke istemal karna ha. ap is mai thoda sa hunny ka istemal kar saktay hain hunny khalis ek dam original hunny ho. aur is ke sath ap sendha namak ka istemal be kar saktay hain. agar apke pas hunny availble nahi hai to ap gund ka istemal kar saktay hain wo bi zyada nahi bas thoda sa hi use karen.

05. Lemon Water Benefits to Fights Constipations

jin logon ko kabz rehti ha un ko lemon water ka use zaroor karna chaiye bohut faida mand ha. jo log regular lemon water ka istimal krte hain un ko kabaz jisi bemari nahi hoti ha. Lemon water pait aur aanton ko healthy rakhta ha jis ki wajah se pait saaf rehta ha aur kabzi ko be nahi hone deta ha.

06. Lemon Water Benefits: (throt infection)

Galay ki infection ki wajah se khansi, galay ki kharash aur gala khushik ho jana jaisi beemari main Lemon water ka use karna chahiye is se galay ka information theek hota ha, Lemon water main thodi si pisi howi kali mirch aur ek bada chamach hunny milakar use karne se galay ka information door ho jata ha.

07. Lemon Water Benefits: Boosts immune system

Agar aap bemariyon se bachna chahte hain to apka immune system strong hona chahiye, jitni acha apka immune system hoga utna hi ap health aur fit rahengay.

Agar apka imune system kamzor hai aur ap isay boost karna chahtay hain to bilkul be mat gabrayen lemon water ka use karen aur apne imume system ko boost kar sakta hain.

agar ap lemon water ka apni daily life ka hissa bana lete hain to ap bohut sari bemariyun se apne apko bacha saktay hain jis ke wajah se apko dawaie nahi khani padegi. isay ketay hain sehat be aur bachat be.

08. Lemon Water Benefits: Makes Gum Strong

Lemon water main thoda sa baking powder add karen aur apne danton aur masoodon main ungli se halke se massage karen . is se hoga kya? aisa karne se apke masooday mazboot to hongay sath hi sath apke dant agar kisi wajah se peelay pad gaye hain to ye apke dantoon se sara peela pan door kar dega.... hai na mazay ki baat.

09. Lemon Water Benefits in Normalizes Blood Presure Levels.

For High Blood Pressure

Lemon water high bp walon ke liye bohut acha ha aur agar ap stress main ha to be ap lemon water ko istemal kar ke is se faida hasil kar saktay hain. 

freshens-breath Lemon water ko ap gunguna pani ya room temerature wala pani istemal karen ,fridge ka pani bilkul be istemal na karen ye ehtiyat lazmi apko karna ha warna faiday ke bajaye nuksan ho sakta ha is liye thoda sa is bat par dhyan dena padega. 

Fridge ka pani aur ice mila howa pani penay se digestive system pora kharab ho jata ha , apka metabolism bigad deta ha aur apka imune system kamzor kar deta ha.

is liye hamesha zyada cool pani se parhez karen jo apki sehat ko bana ne ke bajaye bigad detay hain.

10. Lemon water benefits in joint pain

Lemon water ka use karne se joint ke dard main be kafi aaram hota ha.

Dosto apko ye jankari kaisi lagi, agar ap ka koi bi sawal ya koi mashwarah ho to barahe karam hamen comment karen. Shukriya hamari post ke liye apna keemti waqat dene ke liye.